
Tuesday, January 12, 2016
Thursday, April 30, 2015
Raah..
wo shahar bhi koi shahar tha?
jaha ashk gira karte they, faanoosh bankar,
jaha wajood uda karte they, turre sa jalkar,
ye to uski wangi thi mit gya,
warna kaha wo ab aabo hawa,
ye to uski dillagi, wo gira tha
warna kaha wo saajo shama
warna kaha wo ab aabo hawa,
ye to uski dillagi, wo gira tha
warna kaha wo saajo shama
Friday, March 20, 2015
KHAMOSHI
Aaj aaine ke samne,
khud ke liye anjaan hu
shahar ki aawo-hawa,
dekh kar hairaan hu,
aaj aaine ke samne,
khud ke liye anjaan hu
mit chuka hai falshafa-e-aarju,
khulti darakhton me kahi,
jal chuka hai ashiqui ka ek chaman,
ja chuka hai aashikon ka kaafila,
simti shikasto me kahi,
ud gaye fanoos bankar ashk bhi
ab dosto ki bheed me anjaan hu
thoda sa pareshan hu
thoda sa hairan hu
aj aaine ke samne,
khud ke liye anjaan hu
Thursday, January 8, 2015
rakh lu samet kar, chal ashk bhar lu,
ek is aankh, ek us aankh
thoda sa jee lu, aur mushkura lu,
liye, ek ye khwab, ek wo khwab...
har pahlu utha patak lu,
dag mag sa chal lu,
thoda sa gir lu, thoda sambhal lu
ek is pair, ek us pair
thoda sa sou, thoda sa jagu,
ek is pahar, ek us pahar..
khalihan ke us paar,
ek pagal si kutiya,
dant nikale, punch dabaye,
soche kisko kaatu,
kabhi is dant, kabhi us dant...
wo pagal si kutiya,
soche phir bhi...ki kisko katu...
kabhi is dant, kabhi us dant...
sadak ke us paar,
gussial sand,
dant nikale, punch laharaye,
bus itna soche..
ki kisko maaru...
ha hah ha ha
kabhi is seeng, to kabhi us seeng....
pagal kutiya aur gussial sand...
lakshya ek...parinaam ek...
Friday, August 1, 2014
aankh athkoli...thodi si band thodi si kholi...
sawan chamkeela...aasmaan neela...fir bhi barish...
sann sann hawa...jhuke jhuke ped...
ankho me ganga...wo bachpan adhnanga...
yad hai abhi bhi...thoda sa kareeb se ..thoda sa door se...
kya kahu..kya chalu...tum kaho...to me bhi kahu...
chal re hat...nikal nikal...sambhal smbhal...dhappa...
ahhaaaa...chal khelenge sham tak ab isi mitti me...
sunahari subah gai...rangeeli dopahar gai...
aur ab sanjh bhe beet jayegi isi mitti me...
isi ki khushbu se...kat jayegi raat apni...
sawan chamkeela...aasmaan neela...fir bhi barish...
sann sann hawa...jhuke jhuke ped...
ankho me ganga...wo bachpan adhnanga...
yad hai abhi bhi...thoda sa kareeb se ..thoda sa door se...
kya kahu..kya chalu...tum kaho...to me bhi kahu...
chal re hat...nikal nikal...sambhal smbhal...dhappa...
ahhaaaa...chal khelenge sham tak ab isi mitti me...
sunahari subah gai...rangeeli dopahar gai...
aur ab sanjh bhe beet jayegi isi mitti me...
isi ki khushbu se...kat jayegi raat apni...
yahi rang kar lalima si...chal pade barat apni...
jai hind kare ye jindgi...jai hind ho awaaz apni...
bus yahi ho aarzoo...bus yahi ab saaj apni...
Wednesday, May 21, 2014
wo thode se sapne pakar khoya khoya rahta tha...
thoda sa hansta rahta tha...
thoda roya rahta tha...
jeevan k kuch panne uske kahi pe lal gulal hue..
sanjh sanjh pal nach nach chahak chahak ghudsaal hue...
soti soti dundhli drasti kahar kahar behal hue...
chale gaye the sapno se wo wapas aakar kya lenge...
tol taraju bhav karenge shayad thoda jee lenge...
thirak thirak man pankh laga kar thoda hansta gata tha..
raat me thoda jagta tha aur thoda soya rahta tha...
Tuesday, April 22, 2014
BIKHRE RANG
kabhi kabhi to jeene ki thi ek tayari...
rang bhara tha subaha ne fir...
tarah tarah ki khushbu lekar khadi thi kyari...
rang bhara tha subaha ne fir...
tarah tarah ki khushbu lekar khadi thi kyari...
subah subah wala wo sapna dekha tha...
dhumil sa kuch yaad nahi jyada...
jad chetan sab shunya hua sa...
badli par chaya koi kuhasa...
lekar aksh koi, ek tasveer nai,
har roj shuru ye daur hua......
kuch maddham kuch sarpat,
chahal pahal kuch janjhat...
bojhil sa har lanha...
yakeen nahi toota toota sa pal...
ye wahi subah, ye wahi rang,
khadi thi kyari, bhagte bhonre, girti fulwari...
Subscribe to:
Posts (Atom)



.jpg)




